Makkah mein Imam Hussain a.s ki Jaan na bach saki
Yeh waqiya hai k Imam Hussain a.s Madina Munawwara se iss liye azam e Makkah howe thy k yahan un ki jan bach jaye gi. Lekin ap ki jaan lene par aisa safaak dushman tola howa tha jis ne Makkah Moazma aur Kaaba Muhtarma main bhi apko mehfooz na rehne dia aur wo waqt aa gaya tha k Imam Hussain a.s Maqaam e Aman ko Mehal e Khoof samaj kar Makkah Moazma chorna par majboor ho gaye aur majboori is had tak barh gai k Imam Hussain a.s Haj tak ma kar saky. Yeh musalmaat se hai k Shiyateen Bino Umaiya k 30 Khoonkhaar Hajj k libaas main Imam Hussain a.s k sath hogaye aur qareeb tha k Imam Hussain a.s ko Alam e Hajj o Tawaaf main Qatal kar dain.
Imam Hussain a.s ko jese hi sazish ka pata chala tu Imam Hussain a.s se foran Hajj ko Umra main tabdeel kr dia aur 8 Zilhaj ko Janab e Muslim k Khat par bharosa kar k Azam e Kufa hogaye. Abhi ap rawana na hone paye thy k Azaa o Aqraba ne Kamal hamdardi k sath altawaye Safar e Kufa ki durhast ki.
![]() |
Makkah main Imam Hussain a.s |
Imam Hussain a.s ne farmaya k Agar main Chuwintti ki bhal bhi chup jaon tu bhi zaroor qatal kiya jaon ga. Aur suno mere Nana s.a.w.w ne farmaya k Hurmat e Makkah ek dunby se barbaad hogi. Aur main darta hoon k wo Dunba main hi ma qaraar paon. Meri khawaish hai k main Makkah se bahir chahy aik hi balshist par kyu na ho qatal kiya jaon.
Yazeed ka irada bahr surat Imam Hussain a.s ko qatal karna aur istisaal Bani Fatima s.a tha. Yehi wajah hai k Jab Imam Hussain a.s k Makkah Moazma se rawana hone ki itlaah Wali e Makkah Umar Bin Saeed ko hoi tu us ne puri taqat se apko wapis lany ki koshish ki aur issi silsila main us ne Yahya Bin Saeed Ibn e Aas ko aik gora k sath Imam Hussain a.s ko rokny k liye beih dia. "In Logon Ne Apko Roka Aur Kaha K Ap Yahan Se Kahan Nikly Ja Rahy Hain Foran Lootiye. Imam Hussain a.s ne Farmaya Aisa Hargiz Na Hoga. Yeh rokna mamoli na tha balky aisa tha jis main jis main maar pait ki bhi nobat ayi.
Maqsad yeh hai k Wali e Makkah yeh nahi chahta tha k Imam Hussain a.s us k hadood e iqtadaar se nikal jayein aur Yazeed ki mansha ko pura na kar sake. Kyu k us k paish e nazar Wali E Madina ki bartarfi tha. Wo dekh chuka tha k Imam Hussain a.s k Madina se Salim nikal anay par Wali e Madinah bartarf kar diya gaya tha.
Social Plugin