Hazrat Muhammad s.a.w.w ki Nazar main Hazrat Ali a.s ka Moqam

 Rasool Khuda s.a.w.w ki nigah main Hazrat Ali a.s


 1. Fakhar e Mojodaat Hazrat Muhammad s.a.w.w ne Hazrat Ali a.s k Kaaba main paida hote hi muh main apni zuban di.


 2. Hazrat Ali a.s ko apna lo'aab e dehan chosaya.


 3. Hazrat Ali a.s ki parwarish Hazrat Muhammad s.a.w.w ne khud ki.


 4. Dawat e Zul Ashira k moqah par jab Hazrat Ali a.s ki umar 10 ya 14 sal ki thi apna Wasi, Jansheen aur Khalifa banaya.

Shaan-e-Mola-Ali
Hazrat Muhammad s.a.w.w aur Hazrat Ali a.s


 5. Damadi ka sharf baksha.


 6. But Shinki k waqt Hazrat Ali a.s ko apne kandhon par sawaar kiya.


 7. Jang e Khandak main ap k Kul E Emaan hone ki tasdeeq ki.


 8. Ilm o Khiqmat se behrawar kiya.


 9. Ameer ul Momineen ka khitab dia.


10. Hazrat Ali a.s ki mohabbat emaan aur Hazrat Ali a.s ka bughz kufr qaraar dia.


11. Hazrat Ali a.s ko apna nafs qaraar dia.


12. Shab e Hijrat ap apne bister par jagah di.


13. Ap par bharosa kar k farmaya k Emanat wagira tum adaa karna.


14. Hazrat Ali a.s ko makhsoos kiya k wo Gaar main khana pohanchaye.


15. 18 Zilhaj ko Apki Khilafat ka 1 Lac 24 Hazaar Ashaab k majma main Ba'muqaam Ghadeer E Khum elaan farmaya.


16. Wafaat k waqt Jansheeni ki dastawizaat likhi ki sa'e ki.


17. Ap ki Madah o Sana main beshumaar Ahadees farmayi.


18. Apko hukam dia k mere bad fori jang na karna.


19. Mouka hath anay par munafqon se jang karna ta k Hukam e Khuda ki takmeel ho saky jo k mere liye hai.



Hazrat Ali a.s ki Shan main Ahadees:


 1. Hadees e Madinah

 2. Hadees e Safina

 3. Hadees e Noor

 4. Hadees e Manzalat

 5. Hadees e Khyber

 6. Hadees e Khandaq

 7. Hadees e Teer

 8. Hadees e Saqlain

 9. Hadees e Ghadeer


Tafseer k liye Abqaat e Anwad mulahizza ho.