Hur Bin Yazeed
Subah ka waqt guzra, dupehar ayi. Lashkar e Hussaini a.s bawiya pimayi kar raha tha k Nagaah aik Sahabi e Hussain a.s ne sada kahi. Logon ne sabab pucha us ne jawab dia k mujy Kufa ki simt Khurmay aur Kelay k darakht jese nazar aa rahy hain. Yeh sun kar log yeh khayal karte howe k iss jungle main darakht kahan. Us ki tarf gor se dekhne lage, thori deir main Ghooron ki konotiyaan nazar ayi. Imam ne farmaya k dushman aa rahy hain. Lashkar e Hussaini me ruh badla aur Lashkar e Hur ne tez raftari ehtiyaar ki bil'akhir samny aa pohancha aur bar rawayat lajam e fars par hath dal dia.
Yeh dekh kar Hazrat Abbas agay barhy aur farmaya teri maa tery matam main beithy, kya chahta hai?
![]() |
Hur Bin Yazeed aur Karbala |
Chonky Lashkar e Hur piyas se bechain tha. Iss liye Saqi e Kosar k farzand ne aone bahaduron ko hukam dia k Hur k sawaron aur sawaron k janwaron ko ko achi tarah seraab krdo. Chunachy achi tarah seerabi kar di gai. Us k bad Namaz e Zuhr ki azaan hoi Hur ne Imam Hussain a.s ki qayadat main namaz ada ki aur yeh bataya k hmain apki girftari k liye beijha gaya hai aur hamare liye yeh hukam hai k ham apko Ibn e Ziyaad k darbaar main hazir karein.
Imam Hussain a.s ne farmaya mere jeety jee yeh na mumkin hai k main girftaar ho kar khamoshi k sath kufa main qatal kar dia jaon. Phr Hur ne Imam Hussain a.s ko tanhai main raaye di k chupky se raat k waqt kisi taraf nikal jaiye. Imam Hussain a.s ne apki raaye ko pasand kiya aur aik rastay lar ap chal pary.
Jab Subah hoi tu phr Hur ko taaqab karte dekha aur pucha k ab kya baat hai. Us ne Kaha Mola kisi jasoos ne Ibn e Ziyaad ko Ghamazi kardi hai. Chunachy ab us ka hukam aa gaya hai k main apko be'aab o gayah jungle main rook lon. Guftugu k sath raftaar bhi jari thi k Imam Hussain a.s k goray ne qadam roky. Imam Hussain a.s ne logon se pucha iss zameen ko kya kehty hain, Kaha gaya k Karbala.
Imam Hussain a.s ne apne hamrahiyon ko hukam dia k yahin par dery dal doaur yahin khaimay laga do kyu k fizaye elahi yahin hamary galay milain gy.
Social Plugin