Hazrat Ali a.s ki parwarish kis ne ki?
Hazrat Ali a.s ki parwarish Hazrat Muhammad s.a.w.w ne ki. Paida hote hi Ghod main le lia. Muh main zuban di aur dhood ki bajaye Lo'aab e Dahan Rasool se seerab ho kar "Lahmak Lahmi" k haqdaar bane. Issi doran main jab k ap Sarwar e Kainaat k zair e saya aarzi tor par parwarish pa rhy thy. Makkah main shadeed qahat para. Abu Talib k yahan chonky oulad ziada thi. Iss liye Hazrat Abbas aur Sarwar e Kainaat in k pas tashreef le gaye aur unko raazi kar k Hazrat Ali a.s ko apne pas mustakil tor pr le aye aur Abbas ne bhi Jaffar e Tiyaar ko le lia. Hazrat Ali a.s Sarwar e Kainaat k pas din raat rehne lagy. Huzoor Akram s.a.w.w ne jumla naimaat e elahi se bahra'war kar lia aur har qisam ki talimaat se bharpoor bana dia. Yahan tak k Ali naam Khuda Qowat e Bazu ban kar Youm e Basat 27 Rajab ko Kul Emaan ki sorat main ubray aur Huzoor ki taeed kar k Islam ka sikka bathaya.
Hazrat Ali a.s ka Izhar E Emaan
Musalmano main aksar yeh behas chir jati hai k Sab se pehle islam kon laya aur is silsila main Hazrat Ali a.s ka naam b aa jata hai. Halanky ap mozoh e behas se kharij hain kyu k zair e behas wo laye ja sakte hain jo ya tu musalmaan hi na rhy hon ya tamam umar shirk o bhut parasti main guzari ho jese Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usman wagira. Ab reh gaye Hazrat Ali a.s yeh Kaaba main fitrat Islam par paoda howe. Rasool e Khuda s.a.w.w ki ghod main ankh kholi. Aghosh e Risalat main palay bhary. 10 sal ki umar main bawajah zarorat elaan emaan kiya. Rasool s.a.w.w k damaad karaar paye. Maidan e Jang main kamyaabiyan hasil kar k "Kul e Emaan" bane aur phr "Ameer Ul Momineen" k khitab se sarfaraz howe.
Kya Hazrat Abu Talib Kafir thy?
![]() |
hazrat Ali a.s ki parwarish |
Ulma Mohaqaqeen ne tabsareeh main likha hai k Hazrat Ali a.s tu kabhi kafir rahy hi nahi kyu k ap shuro se hi Hazrat Rasool e Khuda s.a.w.w ki kafalat main iss tarah rahy jis tarah khud hazrat ki oulad rehti thi. aur kul amoor main Hazrat Muhammad s.a.w.w ki pairwi karte thy. Iss sabab se iski zarort hi nahi hoi k ap ko islam ki taraf bolaya jata aur jis k bad kaha jata k ap musalman ho jao.
Hazrat Ali a.s ka Bachpan
Masoodi kehta hai k Hazrat Ali a.s bachpan hi se Rasool Pak s.aw.w k taba thy. Khuda ne apko masoom banaya aur seedhi rah par qaim rakha. Ap k liye Islam lany ka sawal hi paida mahi hota.
Hazrat Ali a.s farmate hain k "Main ne iss ummat main sab se pehle Khuda ki ibadat ki aur sab se Hazrat Muhammad s.a.w.w k sath namaz parhi"
Paighambar e Islam farmaty hain k Hazrat Ali a.s ne Chasme Zadan k liye bhi Kufr ehtiyaar nahi kiya.
Social Plugin