Jang e Khyber Kab Hoi? Jang e Khyber Kis ne Fateh ki?

Jang e Khyber Kab Hoi? Jang Khyber Kisne Fatah Ko?

jang-e-khyber-kab-hoi
Jang e Khyber kab hoi?


Khyber Madinah Munawara se taqreeban 85 Mile k fasla par Yahoodiyon ki basti thi is k bashindy yonhi Islam k arooj o iqbal se jal bun rshy thy k Madina main jala watan Yahoodiyon ne un se mil kar hosly buland kr diye. Unhon ne Bani Asad aur Bani Ghatfaan k bharosa par Madina ko tabah o barbaad kar dalny ka mansoba bandha aur us k liye mukammal foji tiyari kar li. Jab Hazrat Muhammad s.a.w.w ko un k azm o irada ki khabar hoi tu Hazrat Muhammad s.a.w.w 14 safar 7 hijri ko 1400 paidal aur 200 sawaar le kar fitna ko faro karne k liye Madina se bar'amad howy aur Khyber main pihanch kar qila bandi karli aur Musalmaan unhain muhasra main le kar us se musalsal larty rahy. Lekin Qila Qamoos fateh na howa.

Jang e Khyber aur Hazrat Umar r.a

Hazrat Muhammad s.a.w.w ne Fateh Qila k liye Hazrat Umar ko beijha. Phr Hazrat Abu Bakr ko rawana kiya. Is k bad phr Hazrat Umar ko hukm e jahaad dia. Lekin yeh hazraat nakaam wapis aye. Teesri martaba jab Alam e Islam puri hifazat k sath Hazrat Muhammad s.a.w.w ki khidmat main pohanch raha tha. Rastay main bhagty howy Lashkar walon ne Sipasalaar ki buzdali par ijmaah karlia. Aur Salaar e Lashkar in lashkariyon ko buzdil keh raha tha. In halaat ko dekhte howy Hazrat Muhammad s.a.w.w. ne farmaya Kal main Alam e Islam aisy bahadur ko don ga wo Khuda o Rasool ko Dost rakhta hoga. Aur Khuda o Rasool usko dost rakhty hongu aur wo us waqt tak maidan se na palty ga jab tak Khudawand Alam us k hathon lar fatah na de de ga.

Jang Khyber aur Alam

Hazrat Muhammad s.a.w.w k iss farmaan ne Ahal e Islam main aik khas kafiyat paida ho gayi aur har aik k dil main yeh umang aa majood hoi k kal Alam e Islam kisi sorat se mujh hi ko milna chahiye. Hazrat Umar kehte hain k mjy sardari ka hosla aaj k roz se ziada kabhi na howa tha. Morakh ka biyaan hai k Tamam Ashaab ne intihai bechaini main raat guzari aur Ali us subah apne ap Hazrat Muhammad s.a.w.w k samne paish kiya. Ashaab ko agarcha tawaqqo na thi lekin bataye howy safaat ka taqaza tha k Ali a.s ko awaaz di jaye k Nagah Zuban e Risalat se "Aina Ali Ibn E Abi Talib" ki awaz buland hoi. Logon ne kaha k Hazoor wo tu ashoood chasham main mubtila hain wo nahi aa sakte. Hukam howa k ja k kaho Rasool e Khuda s.a.w.w bolaty hain. Paighamber ne Awaz e Risalat Gosh Ameer uo Momineen main pohanchayi aur ap uth khary howy. Ashaab k kandhon ga Sahara le kar Hazrat Muhammad s.a.w.w. ki khidmat main hazir howy. Hazrat Muhammad s.a.w.w. ne apka sar apne zano par rakha aur bukhaar utar gaya. Lo'aab e Dehan lagaya Ashoob e Chasham jata raha. Hukam howa k Ali a.s Maidan E Jang main jao aur Qila Qamoos ko fateh karo. Hazrat Ali a.s ne rawana hoty hi pucha. Huzoor kab tak laron aur kab tak wapis aaon. Farmaya Jab tak fateh na hoo.

Jang e Khyber aur Hazrat Ali a.s

Hukam e Rasool s.aw.w paa kar Hazrat Ali a.s maidan main pohanchy. Pathar par Alam nasb kiya. Aik Yahoodi ne pucha apka naam kya hai? Farmaya Ali a.s Ibne Abi Talib. Us ne apno se kaha k Torait ki qasam yeh shaks zaroor fateh kar le ga kyu k iss qila k fateh k jo safaat turait main biyan kiye gaye hain wo bilkul durust hain iss main sab safaat payi jati hain. Algarz Hazrat Ali a.s k moqably k liye Log nikalny lagy aur Fana k ghaat utarne lagy. Sab se pehle Haris ne Jang azmayi aur aik 2 waaron main hi wasil e Jahanum hogya. Haris kyu k Marhab ka bhai tha is liye Marhab ne josh main aa kar Rijz kehte howe ap par hamla kiya. 


Apne iss k 3 bhaly waly naizy k waar ko rad kar k Zulfiqaar ka aisa waar kiya k us se ahmi hood, Sar aur seenay tak 2 tukry hogaye. Marhab k marny se agarchy himmatain khatam ho gayi thi. Lekin jang jari rahi. Aur Antar, Rabeeh aur Yasir jese pehalwaan maidan main atay aur mout k ghaat utarty rahy. Akhir main bagdar mach gai. Morheen ka biyaan hai k Doraan e Jang main aik shaks ne ap k dast e mubarik par aik aisa hamla kiya k sapar choot kar zameen par gir gayi. Aur aik dosra yahoodi usse le bhaga. 

Hazrat Ali ne Jang e Khyber Fateh ki

Hazrat Ali a.s ko jalal aya. Ap agay barhy aur Qila Khyber ki ahni dar par bayaa hath rakh kar zor se dabaya. Apki ungliyan uski chokhat main iss tarah dar ayi jese moom main loha dar ata hai. Is k bad ap ne jhatka dia aur Khyber k qila k darwaza jese 40 admi harkat na de sakte thy ukhar kar ap k hath main aa gaya. Aur ap k iss jhatky se Qila main zalzala aa gaya. Chonky yeh amal insani taqat se bahir tha Iss liye Hazrat Ali a.s ne farmaya "Main ne Dar e Khyber ko Qowat e Rabani se ukhara hai". Iss k bad apne ne usse sapar bana kar jang ki aur ussi dar ko pul bana kar Lashkar e Islam ko us paar utaar lia. Jab mukammal fatah k bad ap wapis tashreef le gaye tu Paighamber e Islam s.a.w.w ap k istakbaal k liye nikly aur Ali a.s ko seenay se laga kar pishani par bosa dia aur Farmaya k Ay Ali a.s Khuda aur Rasool s.a.w.w, Jibrael o Mikaeel balky tamam farishty tm se razi o khush hain.