Hazrat Imam Mahdi a.s ki Ghaibat aur uski zarorat?
Badshah e Waqt Khalifa Mu'tamid Bin Matwakkal Abbasi jo apne abao ajdaad ki tarah zulm o sitam ka hogar aur Aal e Muhammad s.aw.w. ka jani dushman tha. Us k kaano main Imam Mahdi a.s ki wiladat ki banak par chuki thi. Iss ne Hazrat Imam Hassan Askari a.s ki shahadat k bad takfeen o tadfeen se pehle baqool Allama Majlisi Hazrat Imam Hassan Askari a.s k ghar police ka chapa dalwaya. Aur chaha k Imam Mahdi a.s ko griftaar karwa ly.
Lekin Chonky Imam Mahdi a.s Bahukam e Khuda 23 Ramzan ul Mubarik ko sardaab main ja kar ghaib ho chuke thy. Iss liye wo usss dastiyaab na ho sake. Us ne us k radde'amal main Imam Hassan Askari a.s ki tamam Bibiyon ko griftaar karwa lia aur hukam dia k iss amar ki tehqeeq ki jaye k aya koi un main hamla tu nai hai agar koi hamla ho tu us k hamal ko zaya kar dia jaye. Kyu k wo Hazrat Sarwar e Kainat ki paishgoi se khaif tha k Akhri Zamana main mera ek darzand jis ka naam Mahdi hoga Kainat Alam k inqalab ka zaman hoga aur usse yeh maloom tha k wo Farzand e Imam Hassan Askari a.s ki oulad se hi hoga. Lahaza us ne Imam Mahdi a.s ki tilash aur Imam Mahdi a.s k qatal ki puri koshish ki.
Imam Hassan Askari a.s ki shahadat k bad jab Mu'tamid Khalifa Abbasi ne Imam Mahdi .s k qatal karne k liye admi beijy tu Imam Mahdi a.s Sardaab main ghaib hogaye.
![]() |
Imam Mahdi a.s ki Ghaibat |
Jo log Imam Mahdi a.s ki tol Umar ma tajub kar k inkaar karte hain unko yeh jawab dete hain k Khuda ki qudrat se kuch ba'eed nahi hai jis ne Adam a.s ko baghair maa baap k aur Essa a.s ko baghair baap k paida kiya. Tamam Ahl e Islam ne Hazrat Khizar a.s ko abhi tak zinda mana howa hai. Idrees a.s behshat main aur Essa a.s Asmaan par abhi tak zinda mana jaty hain Agr Khuda Tala ne Aal e Muhammad s.a.w.w main se aik shaks ko Tol e Umar inayat ki tu tajub kya hai? Halanky Ahl e Islam ko Dajjal k majood hone aur Qareeb e Qayamat Zahoor karne se bhi inkaar nahi hai.
Imam Hassan Askari a.s ki wafaat
Kitab Shawahid Al Naboot main hai k Khandaan e Nabowat k 11wy Imam Hassan Askari a.s ko Zehar se shaheed kar dia gaya. Imam Hassan Askari ki wafaat par un k shahibzady Muhammad balaqab Mahdi Shiaon k akhiri Imam howe. Molvi Ameer Ali likhte hain k Khadaan e Risalat k in Imamon k halaat nihayat dardnaak hain. Zalim, Mutawakkal ne Hazrat Imam Hassan Askari a.s k Walid Majid Imam Ali Naqi a.s ko Madina se Samarra pakar bolaya tha. Aur wahan unki wafaat tak unko nazar band rakha tha. Phr Zehar se Shaheed kar dia tha. Issi tarah Mutawakkal k jansheeno ne badghumani aur hasad k maray Hazrat Imam Hassan Askari a.s ko jail main Qaid rakha. Imam Hassan Askari a.s k kamsin Shahzady Muhammad Al Mahdi jin ki umar apne walid ki wafaat k waqt 5 sal ki thi. Khoof k mary apne ghar k qareeb hi aik gaar main chup gaye aur ghaib hogaye. Ibn e Batoot ne apne safar namay main likha hai k Jis Gaar main Imam Zamana a.s ki ghaibat batayi jati hai usse main ne apni ankhon dekha hai. Allama Ibne Hajr Makki ka irshad hai k Imam Mahdi a.s Sardaab main ghaib howy hain. Phr Maloom nahi kahan tashreef le gaye.
Social Plugin