Imam Hussain a.s k Ashaab aur unki Shahadat

 

Hazrat Imam Hussain a.s k Mashoor Ashaab aur Unki Shahadat

imam-hussain-k-ashaab
Imam Hussain a.s k Ashaab


Habib Ibn Mazahir a.s:


Janab Habib Mazahir Ibn e Riyaan Ibn E Ashtar Ibn E Hanjwaan Ibn E Faqas Ibn E Tareef Ibn E Umar Bin Qais Ibn e Haras Ibn e Salba Ibn E Doran Ibn E Asad Abul Qasim Asadi k bety, Imam Hussain a.s k bachpany k dost thy. Habib Ibne Mazahir ko Hazrat Muhammad s.a.w.w k Sahabi hone ka bhi sharf hasil tha. Yeh Ashaab Ameer ul Momineen main bhi thy aur har jung main shareek rahy. Unhon ne kufa main Hazrat Muslim bin Aqeel ka pura pura sath dia aur yeh Shahadat e Muslim k bad Karbala ko paa piyada rawana ho kar Imam Hussain a.s ki khidmat main pohanchy. 


Karbala pohanch kar inhon ne puri koshish ki k bani asad se kuch madad le ayein Lekin Umar Saad k lashkar ne rastay main muzammat ki. Shab e Ashoor ek shab ki muhlat k liye jab Hazrat Abbas gaye thy tu Habib bhi sath thy. Namaz e Zuhr Ashoora k mokah par Haseen Ibne Numair ki badqalami ka jawab Habib ne hi dia tha aur us k kehny par "Hussain a.s ki namaz qabool na hogi, Habib ne barh kar ghoray k muh par talwaar lagayi thi. Phr maidan main musalsal logon se larty aur unhain qatal karte rahy. Yahan tak k Badeel Ibne Hareem Aqfayi ne ap par talwaar lagayi aur Bani Tameem k aik shaks ne Neza mara aur Haseen Bin Numair ne sar par talwaar lagayi. Ap goray se gir pary. Us waqt aik Tamemi ne Sar Kaat lia. Habib ki shahadat k bad Imam Hussain a.s ne intihai Dard Anghaiz lehjy main kaha " Ay Habib main tm ko aur apne ashaab ko Khuda se lon ga"



Zuhair Ibne Qain:


Janab Zuhair, Qain Ibne Qais, Namari Bijli k bety thy. Yeg Qoum k sardaar aur raees thy. 60 Hijri main Imam Hussain a.s k sath howy. Shab e Ashoor Hazrat Abbas jab aik shab ki muhlat k liye agay barhy tu ap k hamra Zuhair bhi thy. Imam Hussain a.s ki zingdi main jab Shimr ne khaimy k pas aa kar usse jalana chaha tha tu Janab e Zuhair hi ny us se moqabla kar k is irady se baz rakha tha. 


Aur Namaz E Zuhr k bad Saeed k sath Zuhair ne bhi Imam Hussain a.s ki hifazat k liye seena taan dia tha. Zuhair bin Qain ne maidan main zabardast jang ki bil'akhir Qaseer ibne Abdul Shabi aur Muhajir ibne Awas Tameemi ne apko shaheed kardia. Shahadat k bad Imam Hussain a.s Lash par tashreef laye aur Kaha Zuhair Khuda Tum Par Rehmat Nazal Kare Aur Tmhare Qatilon Par Jo Bandaron Aur Reechon Ki Tarah Mahsar Hogaye Lanat Kare.



Nafah Ibne Halal:


Janab e Nafah, Halal ibne Nafah ibne Jamal ibne Saad Al Ashira k bety thy. Ap Shareef ul Nafs Sardar Qoum, Bahadur aur Qari e Quran Rawi Alhadees thy. Ap har jang main Ameer ul Momineen k sath rahy. Karbala main jab Hazrat Abbas pani ki jadojahad k liye nehar par tasgreef le gaye thy tu Nafah Ibne Halal ap k sath thy. Maidan Karzaar main Nafah Ibne Halal ne 12 dushmano ko zehar main bhoojy howy teer se qatal kiya phir tab teer khatam ho gaye talwaar se larny lagy. Bil'akhir teer barani ki gayi aur ap k dono bazu toot gaye aur ap girftaar ho kar Ibne Saad k samne laye gaye. Phr Shimr k hathon Qatal kiye gaye.


Muslim Ibne Osja:


Janab e Muslim, Osja ibne Saad ibne Salba ibne Dodaan ibne Asad k bety thy. Yeh Abid o Zahid aur Sahabi e Rasool thy. Aksar Islami Jangon main shareek rahy. Kufa main Muslim Bin Aqeel ki puri taqat se madad ki. Janab e Hani o Muslim ki shahadat k bad apne baal bachon samait Karbala aa pohanchy aur Imam Hussain a.s k qadmo main Sharf e Shahadat se sarfaraz howe. Morheen ka biyaan hai k Muslim Ibne Osja nahait daleri k sath jang farma rahy thy k Muslim ibne Abdullah Zayani Taoon aur Abdullah Ibne Khashtkara ne mil kar Apko shaheed kiya.



Abas Shakiri:


Janab Abas, Abu Shabeeb bin Shakiri k bety thy. Ap nihait Bahadur, Raees, Abid Shab Zindadaar aur Ameer Ul Momineen k mukhlis tareen manne walon ma thy. Ap Qabila Banu Shakir par Ameer ul Momineen par bara itmaad tha. Issi wajah se ap ne jang e safeen main farmaya tha k Agr Qabila Bani Shakir k 1 hazaar afraad majood hon tu dunya main Islam k siwa koi mazhab baqi hi na rhy. Abas ne Kufa main Janab e Muslim ka pura sath dia aur jab Janab Muslim kufa pohanche thy tu apne sab se pehle ta'awan ka yakeen dilaya tha. Ap kufa se Janab e Muslim ka khat le kar Makkah gaye thy aur wahain se Imam Hussain a.s k sath hogaye aur Youm e Ashoora Shaheed howy. Ap maidan main aye magar kisi main dam na tha k Abas se larta bil'akhir in par ijtamai tor par pathrao kiya. Phr beshumaar afraad ne mil kar inhain shaheed kar k sar kaat dala.



Bareer Hamdani:


Janab e Bareer Ibne Huzair Hamdani Mashriqi, Banu Mashriq k qabila Hamdan k aik Muammir Tabi thy. Yeh nahait Bahadur, Abid, Zahid aur bemisl Qari e Quran thy. Inhon ne Kufa se Makkah ja kar Imam Hussain a.s ki hamrahi ehtiyaar ki aur ta'hayaat sath rahy. Shab e Ashoor inhon ne pani lane main azeem jadojahid ki thi. Maidan e Jang main apka moqabla Yazeed ibne Muaqal k sath howa, Bareer ne usse qatal kardia. Phr Razi ibne Maqaz abdi samne aya. Apne zameen lar de mara. Itni dair main Kaab Ibne Jabir ne apki pusht par neza mara aur apne us razi ki naak dant se kaat li jis k seenay par sawaar thy. Kaab ka neza Bareer ki pusht main reh gaya aur us ne Bareer ko shaheed kar dia.