Imam Mahdi kab zahoor krein gy

Imam Mahdi a.s k zahoor se pehle un k zahoor ki alamaat hain jo puri hoty hi Imam Mahdi a.s zahoor karein gy. Bohat se alamaat puri ho chuki hain. Ab wo zamana dor nahi Imam Mahdi a.s ka zahoor inshaAllah jald hoga. 

imam-mahdi-kab-ayein-gy
Imam Mahdi a.s ka zahoor kab hoga


Aur Imam Mahdi a.s k zahoor k bad puri dunya Adal o Insaaf se barh jaye gi. Imam Mahdi a.s k zahoor ki alamaat bohat se pehly wali post ma batayi gayi hain aur kuch alamaat is post ma batayi ja rahi hain.

Dua karty hain k ham wesy insan hi bany gy jesy hmein hamary Imam a.s dekhna chahty hain. 

Imam Mahdi a.s k zahoor ki Alamaat:

 1. Auratain apne shoharon ko mardon k sath bad'feli par majboor karein gi.

 2. Auroton ki dalali karne waly moaziz samje jayein gy.

 3. Momin ghamgheen aur zaleel hoga.

 4. Haram ko halal kiya jaye ga.

 5. Deen main khudrayi ki jaye gi.

 6. Maasi k liye parda e shab ki zarort na hogi.

 7. Bare bare maal e khuda ki masiyat main sarf hon gy.

 8. Hukaam deendaron se dor bhagain gy.

 9. Judge faisly main rishty lain gy.

10. Haraam auraton se zina kiya jaye ga jesy maa behny.

11. Mard apne zoja ki haraam kamayi khaye ga.

12. Auratain apne mardon par hakumat karein gi.

13. Mard apni zoja aur aurat ko karaye ga chalaye ga.

14. Shareef ko zaleel samjha jaye ga.

15. Hukam main uski izzat hogi jo Aal e Muhammad s.a.w.w. ko bura kahy ga.

Imam Mahdi a.s ka Kab Zahoor hoga

16. Chugal hori aam hogi.

17. Ghaibat ko acha smja jaye ga.

18. Hajj aur Jahad khuda k liye nahi degar maqasad k liye kia jaye ga.

19. Badshah yani barsar e iqtadaar tabqa momin ko kafir k liye zaleel kary ga.

20. Veerana abadi se badal jaye ga.

21. Naap tol main kami logon k liye zariya e ma'ash hoga.

22. Log risayat talbi k liye apny ko bad zubani main mashoor karein gy ta k khoof k mary hakomat un k sapurd kar di jaye.

23. Namaz bilkul sabuk kardi jaye gi 

24. Maal e Kaseer k bawajood zakaat na di jaye gi 

25. Maiyyat qabar se nikali jaye gi.

26. Qabar se kafan chura kar beicha jaye ga.

27. Insan Subah o Sham nashy main hoga.

28. Chupayon k sath badfeli ki jaye gi.

29. Chupaye chupayon ko phar khayein gy.

30. Log jaye namaz par barahna jayein gy.

Imam Mahdi a.s Kab Ayein gy

31. Logon k qaloob sakht ho jayein gy.

32. Logon ki ankhain behayai karein gi.

33. Maal e Haraam aam hoga.

34. Namaz sirf dikhany k liye parhi jaye gi 

35. Fiqah Deen k ma'siwa dosry kaamo k liye fiqah hasil karein gy.

36. Logon ghasab ka sath dein gy.

37. Halal rozi kamany waly ki muzammat ki jaye gi.

38. Talab e Haraam ki madah ki jaye gi.

39. Haramain shareefain main aisy amal hongy jo manshaye khudawandi k khilaaf hongy.

40. Alaat e Guna Makkah o Madinah main aam ho jayein gy 

Imam Mahdi a.s k Zahoor ka waqt

41. Haq ki hidayat ko mana kiya jaye ga.

42. Neki k rastay khali ho jayein gy 

43. Maiyat ka muzahka uraya jaye ga.

44. Har saal buraiyon main numaya izafa hoga.

45. Majalis main sirf maal daar ki izzat hogi 

46. Faqeeron ko sirf muzahka k tor par maal diya jaye ga.

47. Mard aur Auratain sab k samny khawashaat e nafsani ki agg bujayein gi 

48. Apni izzat k khof se koi shareef kisi ko rok tok na saky ga.

49. Waldain ki taraf se oulad ko aaq karna aam hojaye ga.

50. Waldain apni oulad ki nazar main sabak hongy.

Imam Mahdi a.s k zahoor se pehle yeh nishani puri ho jayein gi. Aur agr ham dekhain tu yeh nishaniyan takreeban puri ho chuki hain. Iss tarah k tamam kam dekhny ko milty hain. 

Ham dua karty hain k Imam Mehdi a.s ka zahoor jald ho aur tamam buraiyon ka jar se khatma ho.