Imam Mahdi a.s k Zahoor k bad kya hoga

Imam Mahdi a.s k zahoor k bad kya hoga?

Zahoor k bad Imam Mahdi a.s Kaaba ki diwaar k sath taik laga kar khary hongy. Abar ka saya ap k sar mubarik par hoga, Asmaan se awaz aati hogi k Yehi Imam Mahdi a.s Hain. Us k bad ap aik mimbar par jalwa afrooz hon gy. Logon ko Khuda ki tarf dawat dain gy aur Deen e Haq ki taraf anay ki sab ko hidayat farmayain gy.

imam-mahdi-k-zahoor
Imam Mahdi a.s k zahoor k bad


Imam Mahdi a.s ki Tamam Seerat Paighambar E Islam s.a.w.w ki seerat hogi aur inhi k tareeqa lar amal pera hongy. Abhi Imam Mahdi a.s ka khutba jari hoga k Asmaan se Jibrael o Mikael aa kar baiyyat karein gy. Phr Malaika Asmani ki aam baiyyat hogi. Hazaron Malaika ki baiyyat k bad wo 313 momineen baiyyat karein gy. Jo apki khidmat main hazid hi chuky hongy. Phr Aam Baiyyat ka silsila shuro hoga. 


10 Hazaar ki baiyyat k bad Imam Mahdi a.s sab se pehle kufa tashreef le jaye gy aur Dushman e Ahlbait a.s ka qala qama karein gy. 


Imam Mahdi a.s k hath main Aasaye Musa a.s hoga jo azdaha ka kam kary ga aur talwaar hamail hogi. 

Imam Mahdi a.s Aur Kufa

Ain ul Hayaat Majlisi Tawareekh main hai k jab Imam Mahdi a.s kufa pohanchy gy tu kai hazaar ka aik garoo apki mukhalfat k liye nikal pary ga aur kahy ga k hmein bani Fatima ki zarorat nahi ap wapis jaiye, yeh sun kar Imam Mahdi a.s Talwaar se un sab ka qissa pak kar dain gy aur ksi ko b zinda na chorein gy. 


Jab koi bhi dushman Aal e Muhammad s.a.w.w aur munafiq baqi na rahy ga tu ap aik mimber par tashreef le jayein gy aur waqiya e Karbala ka zikar karein gy yani Majlis e Hussain a.s parhain gy. Us waqt log maho girya ho jayein gy aur kayi ghanton tak roonay ka silsila jari rahy ga. 


Phr Imam Mahdi a.s hukam dain gy Mashad e Hussain a.s tak Nehr e Firaat kaat kar layi jaye aur aik Masjid ki tameer ki jaye. Jis k 1 hazaar dar hon chunachy aisa hi kiya jaye ga. Is k bad Imam Mahdi a.s Ziarat e Sarwar e Kainaat k liye Madina tashreef le jayein gy.

Imam Mahdi a.s aur Makkah

Jab Makkah main Imam Mahdi a.s ka zahoor hoga aur Us zahoor ki shohrat atraaf o aknaaf alam main peily ki tu afwaaj Makkah o Madina Imam Mahdi a.s ki khidmat main hazir hongi aur Sham o Iraq o Yemen k abdaal o aoliya khidmat o shareef main hazir hon gy aur Arab ki fojain jama ho jayein gi. 


Imam Mahdi a.s un tamam logon ko us hazany se maal dain gy jo Kaaba se bar'amad hoga. Aur Mokam e Khazana ko 'Taj Al Kaaba" kehte hon gy. Issi asna main aik shaks khurasani aik azeem foj le kar Hazrat ki madad k liye Makkah ko rowana hoga.


Rastay main iss lashkar k moqadma Al Jaish k commander mansoor se nasrani foj ki takkar hogi aur khurasni lashkar nasrani foj ko paspa kar k hazrat ki khidmat main pohanch jaye ga. Iss k bad aik shaks sufyani jo bani Kalb se hoga Imam Mahdi a.s k sath moqabla k liye lashkar e azeem arsaal kary ga Lekin bahukam e Khuda jo wo lashkar Makkah aur Kaaba k darmiyaan pohanchy ga aur pahaar k darmiyaan kayaam kary ga tu zameen main wahin dhans jaye ga.


Phr Safyani jo dushman e Aal e Muhammad hoga Nasara se saazbaaz kar k Imam Mahdi a.s se moqabla k liye zabardast foj faraham kary ga. Nasrani o Safyani foj k 80 nishan hongy aur har nishan k nichy 12 hazaar ki foj hogi. Inka Darul Khilafa Sham hoga. 

Imam Mahdi a.s aur Madina 

Imam Mahdi a.s bhi Madina hoty howe jald se jald Sham pohanchy gy. Jab apka warood masood damishq main hoga tu dushman Aal e Muhammad safyani o nasrani ap k moqabla k liye saf ara hon gy. Iss jang main fariqain k beshumaar afraad qatal hongy. Bil Akhil Imam Mahdi a.s ko fatah kamil hogi ajr aik shami bhi Zameen e Sham par baqi na rahy ga. Is k bad Imam Mahdi a.s apne lashkar walon main Imaan taqseem karein gy.