Hazrat Fatima s.a Ki Shadi Kab Hoi? Hazrat Fatima s.a Ka Jahaiz:
Hazrat Muhammad s.a.w.w ne Hazrat Ali a.s ki wiladat k waqt Ali a.s ko zuban di thi aur bad main farmaya tha k meri beti ka kafoo khana zaad e khuda k siwa koi nahi ho sakta.
Halaat ka taqaza aur nasli o khadani sharafat ka maqtaza yeh tha k Fatima s.a ki khawastgari k silsila main Ali a.s k siwa kisi ka tazkara tak na ata. Lekin kya kiya jaye k dunya is ahmiyat ko samjne main qasir rahi hai. Yehi wajah hai k Fatima s.a k san e balogh tak pohanchty hi logon k paighamaat anay lagy. Sab se pehle Hazrat Abu Bakr ne phr Hazrat Umar ne khawastgari ki aur in k bad Abdul Rahman ne paigham beijha. Hazrat Sheikhein k jawab main Hazrat Muhammad s.a.w.w gazb naak howy aur un ki taraf se muh pher liya. Aur Abdul Rahman se farmaya k Fatima s.a ki shadi hukam e khuda se hogi, tm ne jo muhr ki ziadati ka hawala dia hai wo afsoos naak hai. Tmhari darhast qabool nahi ki ja skti.
![]() |
Hazrat Fatima s.a ki Shadi aur Jahaiz |
Hazrat Fatima s.a ki Shadi
Iss k bad Hazrat Ali a.s ne darhast ki tu Hazrat Muhammad s.a.w.w ne Hazrat Fatima s.a ki marzi daryaft farmayi. Hazrat Fatima s.a chup hi rahin, yeh aik tarah ka izhaar e razamandi tha.
Hazrat Ali a.s aur Hazrat Fatima s.a ki Shadi
Baz Ulma ne likha hai k Hazrat Muhammad s.a.w.w ne khud Hazrat Ali a.s se farmaya k Ay Ali a.s Mujhe Khuda ne farmaya hai k Apni Lakht e Jigar ka Aqad tum se karon kya tumein manzoor hai? Arz ki Ji Haan mujhe Qabool hai phr Shadi hogayi.
Hazrat Ali a.s ne 500 dirham mein apni zirra Usman Ghani k hathon farokht ki aur issi oo maher qaraar de kar 1 zilhaj ko Hazrat Fatima s.a k sath aqad kiya. Mazkoora raqam aj kal k lihaaz se 107 rupay hoti hai jo hamare nazdeek sharri maher hai.
Hazrat Fatima s.a ka Jahaiz:
Nikkah k thory arsay bad 24 zilhaj ko Hazrat Fatima s.a ki rukhsati hoi. Hazrat Muhammad s.a.w.w ne apni ikloti beti Hazrat Fatima s.a ko jahaiz diya uski tafseel yeh hai;
1. Aik Kameez qeemti 7 dirham
2. Aik Maknah
3. Aik Siyah Kambal
4. Aik Bister khajoor k patton ka bana howa
5. 2 motay taaat
6. Chamray k 4 takiye
7. Ataa peesny ki Chakki.
8. Kapry Dhony ki lagan
9. Aik Mashk
10. Lakri ka badiya
11. Khajoor k patton ka bana howa aik bartan
12. 2 matti k anjoray
13. Aik matti ki sarahi
14. Chamray ka farsh
15. Aik safaid Chaddar
16. Aik Lota
Yeh zahir hai k Rasool Kareem s.a.w.w Alla darjy ka jahaiz de skty thy, magr apni ummat k ghurba k khayal se issi par iktifa kiya.
Social Plugin