Hazrat Imam Mahdi a.s Ki Wiladat:
Morheen ka itfaaq hai k Imam Mahdi a.s ki wiladat ba sa'adat 15 shaban ba'waqt taloh e fajr waqiya hoi. Imam Mahdi a.s Shab e Baraat k ehtamam par ba'waqt e Subah sadiq Alam e Zahoor o Shahood main tashreef laye
Imam Mahdi a.s ki Wiladat
Hazrat Imam Hassan Askari a.s ki phuphi Janab e Hakeema Khatoon ka biyaan hai k aik roz main Hazrat Imam Hassan Askari a.s k pas gayi tu ap ne farmaya k ay phuphi k aj ap hamare hi ghr main rahiye. Kyu k khudawand alam mujhe aj aik waris ata farmaye ga. Main ne kaha k yeh farzand kis k batan se hoga. Imam Hassan Askari a.s ne farmaya Batan e Narjis se matwallid hai. Janab e Hakeema ne kaha. Bete, Main tu Narjis main kuch bhi hamal k asaar nahi pati. Imam Hassan Askari a.s ne farmaya k Ay Phuphi Narjis ki misaal Madar e Musa jesi hai. Jis tarah Hazrat Musa a.s ka hamal wiladat k waqt se pehle zahir nahi howa issi tarah mere farzand ka hamal bhi barwaqt zahir hoga. Garz yeh k main Imam k farmane se us shab wahin rahi. Jab adhi raat guzar gayi main uthi aur namaz e tahajjud main mashghool hogayi air Narjis bhi uth k namaz e tahajjud parhne lagi. Iss k bad mere dil main yeh khayal guzra k subah qareeb hai aur Imam Hassan Askari a.s ne jo kaha tha wo abhi tak zahir nahi howa, iss khayal k dil main atay hi Imam Hassan Askari a.s ne apne hujra se awaz di, ay phuphi jaldi na kijiye Hujjat e Khuda k zahoor ka waqt bilkul qareeb hai. Yeh sun kar main Narjis k hujry ki tarf lapti. Narjis mujy rastay main hi mili magr unki halat us waqt mutgeer thi aur unka sara jism kanp raha tha.
![]() |
Imam Mahdi a.s ki Wiladat |
Main ne yeh dekh kar unko apne seenay se lipta lia aur Surah Inna Anzalna, Surah Kosar aur Ayatul Kursi parh kar un par dam kiya. Batan e Madar se bachy ki awaz anay lagi Yani main jo kuch parhti thi wo bacha bhi Batan e Madar main wohi kuch parhta tha. Is k bad main ne dekha k tamam hujra roshan o munawwar hogya. Ab main jo dekhti hon tu aik malood masood zameen par sajdy main para howa hai. Main ne bachy ko utha lia.
Hazrat Imam Hassan Askari a.s ne apne hujry se awaz di. Phuphi mere farzand ko mere pas laiye, Main le gayi. Apne usse apni ghod majn beitha lia aur apni zuban bachy k muh main de di aur kaha k Ay Farzand, Khuda k hukam se kuch baat karo. Bachy ne Qurani Ayat ki tilawat ki jis ka tarjama hai k Ham Chahte Hain K Ehsaan Karein Un Logon Par Jo Zameen Par Kamzoor Kar Diye Gaye Hain Aur Unko Imam Banaye Aur Unhin Ko Roye Zameen Ka Waris Qaraar Dein.
Iss k bad kuch kuch sabz tairon ne aa kar hmein ghair leya. Imam Hassan Askari a.s ne un se main se aik Tair ko bolaya aur bachy ko dety howy kaha "Iss ko le ja kar iski hifazat karo" Yahan tak k khuda iss k bare main koi hukam de. Kyu k Khuda apne hukam ko pura kar k rahy ga.
Main ne Imam Hassan Askari a.s se pucha k Yeh Tair kon tha aur dosry Tair kon thy? Imam Hassan Askari a.s ne farmaya k Yeh Jibrael thy aur wo dosry farishtgaan e rehmat thy. Is k bad farmaya k Ay Phuphi iss farzand ko uski maa k pass le ao ta k uski ankhain hanak hon aur makhzoon o maghmoom na hon aur yeh jan le k khuda ka wada haq hai. Lekin aksar log usse nahi janty.
Us k bad is malood masood ko uski maa k pas pohancha dia gayan Allama Khairi likhte hain k Wiladat k bad apko Jibrael parwarish k liye utha k le gaye. Jab Imam Mahdi a.s paoda howe tu ap k dahny kandhy par yeh ayat manqosh thi jis ka tarjama hai "Haq Aya Aur Batil Mit Gaya Aur Batil Mitny Hi K Qabil Tha"
Social Plugin