Imam Mahdi a.s ka naam kis me rakha?
Imam Mahdi a.s ka naam "Muhammad" aur mashoor laqab "Mahdi" hai. Ulma ka kehna hai k Apka naam zuban par jari karne ki mumanat hai. Allama Majlisi iski ta'eed karte farmate hain k Iski wajah poshida aur ghair maloom hai. Ulma ka biyaan hai k Imam Mahdi a.s ka naam khud Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w ne rakha tha.
![]() |
Imam Mahdi a.s ka naam kisne rakha |
Morakh e Azam Mister Zakir Hussain Tareekh e Islam jild 1 main likhte hain k Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya k Mere bad 12 khalifa Quresh se honge. Ap ne farmaya k Akhiri zamane main jab dunya zulm o jor se barh jaye gi tu meri oulad main se Mahdi ka zaroor hoga jo zulm o jor ko dor kar k dunya ko adal o insaaf se barh de ga. Shirk o kufr ko dunya se nabood karde ga. Naam "Muhammad" aur laqab "Mahdi" hoga. Hazrat Essa asmaan se utar kar us ki nusrat karein gy aur us k pichy namaz parhain gy aur dajjal ko qatal karein gy.
Imam Mahdi a.s ki Koniyat:
Is par Ulma ka itfaaq hai k Imam Mahdi a.s ki koniyat "Abu al Qasim" aur "Abu Abdullah" thi aur is par bhi ulma mutfiq hain k Abu al Qasim khud Sarwar e Kainat ki tajweez karda hai
Yeh musalmaat se hai k Hazrat Muhammad s.a.w.w ne irshad farmaya hai k Mahdi ka naam mera naam aur unki koniyat meri koniyat hogi. Lekin is rawayat main baz ahl e Islam ne izafa kiya hai k Hazrat Muhammad s.aw.w ne yeh bhi farmaya k Mahdi k baap ka naam mere Walid e Muhtaram ka naam hoga. Magr hamare rawiyon ne iski rawayat nahi ki aur khud tirmazi shareef main bhi Isme Abiya Isme Abhi nahi hai taham baqool sahib al munaqab allama kanji shafi yeh kaha ja skta hai k riwayat main lafz Abiya muraad Abu Abdullah Al Hussain hain. Yeh is se muraad is amar k tarf ishara hai k Imam Mahdi a.s Hazrat Imam Hussain a.s ki oulad se hongy.
Imam Mahdi a.s k Alqabaat:
Imam Mahdi a.s k alqabaat Mahdi, Hujjatullah, Khalf Al Salikh, Sahib Al Asr, Sahib ul Amr, Wa Zaman ul Qaim, Al Baqi aur Al Qaim hain. Hazrat Imam Mahdi a.s ki wiladat se 1420 sal pehle ap ka laqb Muntazir qarar dia hai. Allama Ibn e Hajar Makki, Al Muntazir ki shara karte howe likhte hain k unhain Muntazir yani jis ka intizar kiya jaye iss liye kehte hain k wo sardaab main ghaib hogaye thy aur yeh maloom nahi hota k kahan chale gaye. Matlab yeh k Log unka intizar kar rhy hain aur farmaty hain k Apko muntazir iss liye kehty hain k Apki ghaibat ki waja se ap k mukhlaseen ap ka intizar kr rhy hain.
Imam Mahdi a.s ka Hulya - Imam Mahdi a.s Kese Dikhty hain
Kitab Al Kamaluddin main Sheikh Sadooq tehreer farmate hain k Sarwar Kainaat ka irshad hai k Imam Mahdi a.s Shakal o Shabahat Khalq o Khalq Shamail o Khasail Aqwaal o Afaal main mere Mashaba hongy.
Imam Mahdi k hulye k mutalliq ulma ne likha hai k apka rang ghandamghon Qadmiyana hai. Apki pishani khuli hoi aur ap k abroo ghanay aur baham pawista hain. Apki naak breek aur buland, Imam Mahdi ki ankhain bari aur Imam Mahdi ka chehra Nihayat Noorani hai. Imam Mahdi k dahny rukhsaar par aik til hai. Jo sitary ki manid chamakta hai. Imam Mahdi k dant chamakdaar aur khuly howy hain. Imam Mahdi ki zulfain kandhon par pari rehti hain. Imam Mahdi ka seena chora aur ap k kandhe khule howe hain. Imam Mahdi ki pusht par ussi tarah mohr Imamat sabt hai jis tarah Pusht Risalat Ma'aab par Mohar e Nabowat sabt thi.
Social Plugin