Imam Mahdi a.s ki Ghaibat aur Quran Pak

 

Imam Mahdi a.s ki ghaibat aur Imam Mahdi a.s ka zahoor Quran Majeed ki roshni main:

Imam Mahdi a.s ki ghaibat aur ap k majood hone aur ap k tol umar naiz ap k zahoor shahood aur zahoor k bad sare deen ko aik kar dene k mutalliq 94 ayatain Quran Majeed main majood hain jin main se aksar dono fareeq ne tasleem ki hain. 

Imam Mahdi a.s ki ghaibat k mutalliq Hazrat Muhammad s.a.w.w farmate hain k Emaan Bil Ghaib se Imam Mahdi a.s ki ghaibat muraad hai.

imam-mahdi-aur-quran-pak
Imam Mahdi a.s ki Ghaibat


Naik Bakht hain wo log jo un ki ghaibat par sabar karein gy aur mubarak bad k qabil hain. Wo samajdaar log jo ghaibat main bhi unki mohabbat par qaim rahain gy.

Hazrat Ibrahim a.s ki nasl main Kalma Baqiya ko qaraar dia hai jo baqi o zinda rahy ga. Iss Kalma Baqiya se Imam Mahdi a.s ka baqi rehna muraad hai aur wohi Aal e Muhammad s.a.w.w main baqi hain.

Jab Imam Mahdi a.s Ba hukm e Khuda zahoor farmayein gy tu tamam deeno par ghalba hasil kar lain gy. Yanj dunya main siwaye aik deen Islam k koi aur deen na hoga.

Imam Mahdi a.s ka Zikr Kutb e Islami Main:

Hazrat Daud a.s ki zaboor ki ayat 4 marmooz 97 main hai k Akhiri zamane main jo insaaf ka mujasma insan aye ga us k sar par abar saya fagan hoga. Kitab Zaboor marmooz 160 main hai jo akhir ul zamaan aye ga us par aftaab asar andaz na hoga.

Jab Noor e Khuda Zahoor kary ga tu adal o insaaf ka danka bajy ga. Sher aur bakri ek jagah rahain gy. Cheetah aur Bazgala aik sath charain gy. Sher aur Gosala aik sath rahain gy, Gosala aur Murgh aik sath hon gy. Sher aur Gaaye main dosti hogi. 

Yeh Noor e Khuda jab zahir hoga tu talwaar k zariye se tamam dushmano se badla le ga. 

Imam Mahdi a.s k zahoor k bad kya hoga

Imam Mahdi a.s k zahoor k bad sari dunya k bhut mita diye jayein gy, zulm aur munafiq khatam kar diye jayein gy. 

Yeh zahoor karne wala Kaneez e Khuda ka beta hoga. Torait k Safr e Anbiya main hai k Imam Mahdi a.s zahoor karein gy. Essa a.s asmaan se utrain gy, Dajjal ko qatal karein gy. Anjeel main hai k Mahdi aur Essa Dajjal aur Shaitan ko qatal karein gy. 

Issi tarah mukammal waqiya jis main Shahadat Imam Hussain a.s aur Zahoor e Imam Mahdi a.s ka ishara hai. Anjeel Kitab Daniyal bab 12 fasl 9 ayat 24 main majood hai.