Imam Mahdi a.s k Zahoor ki nishaniyan Part 2

Zahoor e Imam Mahdi a.s ki Alamaat:

Imam Mahdi a.s k zahoor se pehle bohat si alamaat zahir ki gayi hain in Alamaat k pury hoty hi Imam Mahdi a.s ka zahoor hoga. Imam Mahdi a.s k zahoor ki alamaat;

imam-mahdi-ka-zahoor
Imam Mahdi a.s ka zahoor


 Imam Mahdi a.s kab Zahoor farmayain gy

1. Misri apne badshah o hakam ko qatal kar dein gy.

 2. Sham tabah o barbaad ho jaye ga.

 3. Qais o Adab k jhandy Misr par lehrayein gy.

 4. Khurasaan par Bani Kanda ka parcham lehraye ga.

 5. Firaat ka pani is darjy char jaye ga k Kufa ki gali kochon main pani hoga.

 6. 40 adad Madyan e Nobowat zahir hon gy.

 7. 13 afraad Oulad e Abu Talib se dawa Imamat karein gy.

 8. Bani Abbas ka ek azeem shaks  nazar e atash kiya jaye ga.

 9. Baghdad main Kurakh jesa pul banaya jaye ga.

10. Saya andhi ka ana.

11. Zalzalon ka ana.

12. Aksar moqamaat lar zameen dhans jaye gi.

13. Nagahani mout ka ziada hona.

14. Jaan o maal aur samraat ki tabahi.

15. Chawintiyon aur tiddiyon ki kasrat jo khaiti ko kha jayein.

Zahoor e Imam Mahdi a.s ki nishaniyan

16. Gala ka kam ugna.

17. Bahmi Kusht o Khoon ki kasrat.

18. Apny syedon se logon ka nafarmaan hona.

19. Apna sardaron ko qatal karna.

20. Baz Goro ka Soor aur Bandaron ki sorat main masakh hona.

21. Asmaan se aik awaz ka ana jisy tamam ahl e zameen sune gy.

22. Asmani awaz ka har kaan waly kaan main ussi ki zuban main pohanchna.

23. Baz suraton ka moqam Ain ul Shams main hona.

24. 24 barishon ka pe dar pe hona.

25. Zameen ka zinda ho kar apny tamam mamlaat zahir krna. 

26. Achayi aur burayi aik nazar se dekhi jaye gi 

27. Burayi ka hukam apni oulas ko diya jaye ga aur achayi se roka jaye ga.

28. Lalach ki wajah se batan kharab ho jayein gy.

29. Khof e Khuda dil se nikal jaye ga.

30. Quran ka sirf nishan reh jaye ga.

Imam Mahdi a.s ka zahoor kab hoga

31. Masjidain Abaad magr hidayat se khali hongi.

32. Fiqha fitna parwar hongy.

33. Auraton se mashwara lia jaye ga.

34. Gunah khulam khulla kiya jaye ga.

35. Bad Ahdi aam hogi 

36. Auraton ko tajarat main shareek kiya jaye ga.

37. Zaleel tareen shaks qoum ka sardar hoga.

38. Ghany waliyon ka zor hoga.

39. Us zamany k log aglon par bilawajah lanat karein gy 

40. Jhoti gawahi di jaye gi.

41. Haq khatam ho jaye ga.

42. Batal farogh paye ga.

43. Quran aik kuhna kitab samjhi jaye gi 

44. Deen andha kar dia jaye ga.

45. Badkaari elaan k sath ki jaye gi 

46. Larky auraton ki tarah ujrat par istimal hon gy 

47. Hamsaya hamsaye ko aziyat de ga.

48. Neki ka hukm krne wala zaleel hoga.

49. Neki k rastay chor diye jayein gy.

50. Momin se ziada Sahib e maal ki izzat hogi.