Imam Mahdi a.s k Zahoor ki Nishaniyaan

Imam Mahdi a.s k Zahoor ki Alamaat

Imam Mahdi a.s k zahoor se pehle beshumaar alamaat zahir hongi phr akhir main Imam Mahdi a.s ka zahoor hoga. Imam Mahdi a.s ki mashriq o maghrib par hakomat hogi. Imam Mahdi a.s k zahoor ki kuch alamaat yeh hain;

imam-mahdi-k-zahoor
Imam Mahdi a.s k Zahoor


 Imam Mahdi a.s k zahoor ki nishaniyan

1. Auratain mardon k mashaba hongi.

 2. Mard Auraton jese hon gy.

 3. Auratain zeen jesi cheezain ghory cycles par sawar karne lagy gi.

 4. Namaz jan boj kar qaza ki jane lagy gi.

 5. Log khawashaat e nafsani ki peirwi karne lage gy.

 6. Qatal karna mamooli baat samjha jaye ga.

 7. Sood ka zor hoga.

 8. Zina aam hoga.

 9. Achi achi amaartain boht bany gi.

10. Jhoot bolna halal smjha jaye ga.

11. Rishwat aam hogi.

12. Shehwat e Nafsani ki perwi ki jaye gi.

13. Deen ko dunya k badle becha jaye ga.

14. Azeez daro ki parwah na hogi.

15. Ahmaqon ko alam banaya jaye ga.

Imam Mahdi a.s Kab Zahoor Karein gy

16. Barbaadi ko kamzori o buzdili par mahmool kiya jaye ga.

17. Zulm fakhar k tor par kiya jaye ga.

18. Badshah fasiq o fajr hongy.

19. Wazir jhoothy hongy.

20. Amanat dar khai'n hongy.

21. Har aik k madadgaar zulm parwar hon gy.

22. Qariyaan e Quran fasiq hon gy.

23. Zulm o jor aam ho ga.

24. Talaaq bohat ziada hogi.

25. Fisq o fajoor namaya hon gy.

26. Farebi ki gawahi qabool ki jaye gi.

27. Sharaab noshi aam hogi.

28. Aglaam bazi ka zor hoga.

29. Auratain auraton k zariye shehwat ki aag bujayein gi.

30. Maal e Khuda o Rasool s.a.w.w ko maal e ghanimat samjha jaye ga.

Imam Mahdi a.s Kab Ayein Gy

31. Sadqaat o Khairaat se najaiz faida uthaya jaye ga.

32. Shareeron ki zuban k khof se naik bandy khamosh rahain gy.

33. Sham se safyani ka kharooj hoga.

34. Yeman se yemani bar'amad hongy.

35. Makkah o Madina k darmiyan "Ludh" Zameen dhuns jaye gi.

36. Rukn aur Moqaam k darmiyan Aal e Muhammad s.a.w.w ki aik moaziz fard qatal hogi.

37. Bani Abbas main shadeed ikhtalaaf hoga.

38. 15 Shaban ko Soraj Gharahan aur issi maah k akhir main Chand Gharahan hoga.

39. Zawaal k waqt aftaab ta waqt e asar qaim rahy ga.

40. Maghrib se Aftaab nikly ga.

41. Nafs e Zakia aur 70 Salheen ka qatal.

42. Masjid e Kufa ki diwaar kharab o barbaad krdi jaye gi.

43. Khurasaan ki janib se sayah jhandy bar'amad hon gy.

44. Misar main aik maghribi ka zahoor hoga.

45. Turk jazeera main hon gy.

46. Rom ramla main pohanch jaye ga.

47. Mashriq main aik sitara nikly ga jis ki roshni maghrib tak phaily gi.

48. Aik Surkhi zahir hogi jo asmaan aur soraj par ghalib aa jaye gi.

49. Mashriq se aik zabardast aag barky gi jo 3 ya 7 roz baqi rahy gi . wo agg maghrib tak phail kar alam ko tehas nehas kar dy gi.

50. Arab mushtalif balaon par qabko pa lein gy aur Ajam k badshah ko maghloob kar dain gy.