Karbala main Imam Hussain a.s ki Amad
2 Muharram ko Imam Hussain a.s Warid e Karbala howe. Wahiz Kashifi aur Allama Albeli ka biyaan hai k Jese hi Imam Hussain a.s ne Zameen e Karbala par Qadam rakha Zameen e Karbala zard hogayi. Aur aik aisa ghubaar utha jis se ap k chehre mubarak par pareshani k asaar numaiya hogaye. Yeh dekh k Ashaab dar gaye aur Janab e Umm ul Kulsoom rone lagi.
Karbala main warood k foran bad Janab e Umm ul Kulsoom ne Imam Hussain a.s se arz ki, Bhai Jan yeh kesi zameen hai k iss jagah par hamara dil dhul raha hai. Imam Hussain a.s ne farmaya bas yeh wohi moqaam hai jahan Baba Jaan ne Safeem k safar main khuwaab dekha tha. Yani yeh wo jagah hai jahan hamara khoon bahy ga. Issi din ek Sahabi ne Beri k darakht se maswaak k luye saakh kaati tu us se taaza khoon jari hogaya.
Ahl e Kufa k naam Imam Hussain a.s ka Khat:
Karbala pohanchne k bad Imam Hussain a.s ne sab se pehle itmaam e hujjat k liye Ahl e Kufa k naam Qais k zariye se ek Khat arsaal farmaya. Jis ne Imam Hussain a.s ne tehreer farmaya k Tmhari Dawwat par main Karbala tak aa gaya hoon.
![]() |
Kufa k logon k liye Imam Hussain a.s ka khat |
Qais khat liye ja rhy thy k rastay main griftaar kar liye gaye aur unhain Ibn e Ziyaad k samne kufa le ja kar paish kar diya gaya. Ibn e Ziyaad ne khat manga. Qais ne bar'rawayat chaak kar k penkh dia aur us khat ko khaa liya. Ibn e Ziyaad e unhain bazarb taaziyana shaheed krdia.
Obaidullah Ibn Zayad ka khat Imam Hussain a.s k naam:
Imam Hussain a.s k Karbala pohanchne k bad Hur ne Ibn e Zayad ko apki raseedgi Karbala ki khabar di. Usne Imam Hussain a.s ko foran ek khat arsaal kiya. Jis main likha tha k Mujhe yazeed ne hukam dia hai k main ap se us k liye baiyat lon ya apko qatal kar don. Imam Hussain a.s ne us khat ka jawab na dia aur usse zameen par phenk dia.
Iss k bad Imam Hussain a.s ne Muhammad Bin Hanfiya ko apne Karbala pohanchne ki ek khat k liye itlaah di aur tehreer farmaya k main ne apni zindagi se hath dho lia aur anqareeb aroos e mout se ham kanaar hojaon ga.
Social Plugin