Imam Ali a.s k Karamaat - امام علی علیہ سلام کے کرامات

 

Imam Ali a.s k Karamaat

Hazrat Ali a.s aur Insan ki Qalab e Mahiyat

Aik Shaks Quresh se Hazrat Ali a.s ki khidmat main hazir ho kar kehne laga k main wo hon k jis ne beshumaar insano ko qatal kiya hai aur bohat se atfaal ko yateem kiya hai. Hazrat Ali a.s se us ka jab yeh ta'aruf suna tu ap ko gusa aagya. Apne farmaya k "Akhsa Ya Kalb" Ay Kutty mere pas se dor ho ja. Hazrat Ali a.s k Dahan e Aqdas se in alfaz ka nikalna tha k uski mahiyat aur iski haiyat badal gayi. Aur wo kutty ki shakal main ho kar dum hilany laga. Lekin sath hi sath betaab ho kar faryaad o fogaan karte howy zameen par lotny laga. Hazrat Ali a.s ko us par tars aya aur apne dua ki. Khuda ne phr usse uski Asli Haiyat main badal diya.

hazrat-ali-k-karamaat
Hazrat Ali k karamaat


Mushkil Kusha ki Mushkil Kushai:

Aik riwayat main hai k ek din Hazrat Ali a.s aik gali se guzar rhy thy. Ap ki nagah apne aik momin par pari dekha k usse aik shaks buri tarah apni garift main liye howy hai. Hazrat Ali a.s us k qareeb gaye aur us se pocha k yeh kya mamla hai. Us momin ne kaha Mola main is mard e munafiq k 1 hazaar 700 dinaar ka qarzdaar hoon. Iss ne mjy pakar rakha hai aur itni muhkat b nahi deta k main yahan se ja kar koi bandobast karon. Hazrat Ali a.s ne farmaya k tu zameen ki tarf rukh kar aur jo pathar wagira is waqt tere hath m aye unhain utha ly. Chunachy us ne aisa hi kiya. Jab us ne utha kar dekha tu wo sab sonay k thy. Hazrat Ali a.s ne farmaya iss ka qarza ada karny k bad jo bchy usse apne kaam m la. Ravi kehta hai k dosry din Jibrael a.s k kehny par Hazrat Rasool e Khuda s.a.w.w ne iss waqiya ko Ashaab k majmy main biyaan kiya.