Hazrat Ali a.s k Karamaat - Hazrat Ali a.s Ka Mojza

 Mola e Kainat Hazrat Ali a.s k Karamaat


Yeh musalim hai k Mola e Kainaat Mushkil Kusha Hazrat Ali Bin Abi Talib a.s Mazhar al Ajaib o Gharaib thy. Khilqat e Zahri se qabl Anbiya a.s ki madad karna, Salman Farsi ko dasht Arsan main Sher se churana aur Zahoor o Shahood k bad aik shab main 40 jagah baik waqt Dawat main shirkat karna, dunya k har ghoshy main ap k qadam k nashanaat ka pathar par majood hona, Gaar e Ashab e Kahaf main nishan e qadam ka majood hona, Kabul main Mazaar e Sakhi ka wajood aur degar nishanaat ka majood hona, Toor e Kham k qareeb Masjid e Ali ki tameer, Peshawar main, Asaye Shah Marwaan ki Ziarat Gah ka hona, Alam main har shaks ki mushkil kushai ka hona jana. Naiz Baab E Khyber ka okharna. Rasool e Kareem s.a.w.w ki awaz par Chashm e Zadan main pohanch jana. Chadad par baith kar Gaar e Ashab Kahaf tak jana aur un se kalam karna wagira wagira ap k mazhar al ajaib o gharaib hona ka saboot hai.

hazrat-ali-k-karamaat-aur-mojza
Hazrat Ali k Karamaat aur Mojza


Hazrat Ali a.s ka Gehwary main Azdaha Dopara karna:


Aik dafa ka zikr hai k Hawali Makkah main aik nahayat zabardast aur taweel azdaha aagaya aur us ne tabahi macha di, aik lashkar ne usse marny ki koshish ki magr kamyaab na howa.Aik din wo azdaha madinay ki taraf chala. Jab qareeb pohancha Madinay ma halchal mach gai. Log gharon ko chor kar bahir bhagny lagy. Itfaqan wo Azdaha Khana Hazrat Abu Talib main dakhil hogya . Wahan Mola e Kainaat Gehwary main farokash thy aur unki madar e garami kahin bahir tashreef le gai thi. Jab wo Azdaha gehwary k qareeb pohancha tu "Yadullah" ne us k dono jabroon ko pakar kar dopara kardia. Rasool e Khuda s.a.w.w ne hasrat ka izhaar kiya. Awaam ne Daad e Shujait di. Maa ne wapis aa kar majra dekha. aur apne noor e nazar ka naam Haider rakha.