Hazrat Ali a.s ka Akhlaq Kesa Tha

 Hazrat Ali a.s ka Akhlaq

hazrat-ali-ka-akhlaq
hazrat ali ka akhlaq


Hazrat Ali a.s nihait khush akhlaq thy Ulma ne likha k Hazrat Ali a.s roshan ro aur kushada pashani raha karte thy. Yateem nawaz thy. Hazrat Ali a.s faqeeron main beith k khushi mehsoos kiya karty thy. Momno main apne apko haqeer aur dushmano main apne ap ko ba'roob rakhte thy. Hazrat Ali a.s mahmano ki khidmat khud kiya karte thy. Kaar e Khair main sabqat karte thy. Jang main dor kar shamil hoty thy. Har Mustahiq ki imdaad karte thy. Har kafir k qatal par takbeer kehte thy. Jang main Hazrat Ali a.s ki ankhain khoon ki manid hoti thi. Ibadat khana main intihai khuzo khusho ki wajah se be'his maloom hote thy. Hazrat Ali a.s har raat ko Hazaar Nawafal ada karte thy. Apne ayaal o atfaal ko amoor khana dari main madad karte thy. Zaroryaat e khangi bazaar se khud khareed kar laty thy. Apne libaas ko badast khud peewand lagaty thy. Apni naiz Rasool Pak s.a.w.w ki joti khud tankty thy. Har rooz dunya ko 3 talaak dety thy. Wo ghulam apni mazdoori se khareed kr azaad karte thy. Kitaab Arhaj Almutalib main hai k Hazrat Ali a.s Hazoor Pak s.a.w.w ki tarah kushada roo Hansne wale aur khush taba thy aur mazakh b farmaya karte thy.