Hazrat Imam Hussain a.s ki Wiladat Kab Hoi

Hazrat Imam Hussain a.s ki Wiladat kab hoi?

wiladat-imam-hussain
Imam Hussain a.s ki Wiladat


Hazrat Imam Hussain a.s ki wiladat aik qool k mutabiq 5 Shaban aur aik qool k mutabiq 3 Shaban ko hoi. Aur baz kehty hain Maah e Rabi Ul Awal k akhir main hoi.

Imam Hussain a.s ki tareekh e wiladat k silsalay main aur rawayaat b majood hain.

Imam Hussain a.s ki wiladat ki mubarakbad

Jab Imam Hussain a.s paida howy tu Jibrael a.s 1 hazaar Farishton ki ma'eayt main Rasool Allah s.a.w.w ki khidmat main Mubarak bad paish krny k liye sharfyaab howy. Hazrat Fatima a.s apny farzand ko walid e muhatram ki khidmat main lai.

Imam Hussain a.s ka naam kis ne rakha?

Imam Hussain a.s ko dekh kar Hazrat Muhammad s.a.w.w bohat khush howy aur apka naam Hussain rakha.

Imam Hussain a.s ki Shahadat ko khabar


Hazrat Imam Hussain a.s ki Shahadat k bare main Hazrat Jibrael ka Hazrat Muhammad s.a.w.w ko khabar dena

Jab Imam Hussain a.s 2 saal k howy tu Hazrat Muhammad s.a.w.w ko 1 safar darpaish howa tu doraan e safar Hazrat Muhammad s.a.w.w achanak ruk gaye aur farmaya "INNA LILLAHE WA INNA ILAHI RAJIOON" ankhon se ashk jari ho gaye. Ronay ki waja pochi gayi tu  Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya Mujy Abhi Jibrael a.s Ne Is Sar Zameen Ki Khabar Di Hai K Jo Shat E Firaat k Qareeb Hai Jis ka Naam Karbala Hai Issi Sar Zameen Par Mere Farzand Imam Hussain a.s Ko Shaheed Kiya Jaye Ga.

Sawal kiya gaya k Ya Rasool Allah s.a.w.w Imam Hussain a.s ka Qatal kon hoga? Tu Imam Hussain a.s ne farmaya k Uska naam Yazeed Bin Mouwia hai goya k abhi main Hussain a.s ki qatal gha aur maqaam e dafan ko apni ankhon k samne dekh raha hon.