Hazrat Muhammad s.a.w.w k Farman - Hazrat Ali a.s k Farman
Hazrat Luqman a.s ne apne bety se wasiyat ki "Beta hazaar dost banao agarha hazaar dost bhi kam hain aur aik shaks ko bhi dushman na banao k wo bhi bohat hain"
Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya "Meri ummat us waqt tak kamyabi se hamkinaar rahy gi jab tak wo aik dosre se mohabbat karein gy apas main hadya o tohfa dety rahain gy aur amanat adaa karte rahain gy"Imam Ali a.s ne farmaya "Faidamand tareen khazana dilon ki mohabbat hai"Rasool e Khuda s.a.w.w ne farmaya: "Hoshyaar ho jao k apas ki dushmani tabahkun hai"
Hazrat Muhammad s.a.w.w ka farmaan
Rasool e Khuda s.a.w.w ne farmaya "Jab tum chahi k Allah tum se mohabbat kary tu us se darro aur uska taqwa ikhtiyaar karo"Imam Ali a.s ne farmaya "Sadqa de kar aur sulah rehmi kar k apne gunahon ko dhoo dalo aur Allah tala k mehboob ban jao"Rasool e Khuda s.a.w.w ne farmaya "Mohabbat o Dosti nisf Deen hai"
Imam Muhammad Baqir a.s ne farmaya "Jaan lo ulfat o mohabbat Allah k sabab aur Dushmani shaitan k sabab paida hoti hai"
Imam Ali a.s ne farmaya "Hazaar dost o ahbaab ziada nahi hain agarchs dushman aik hi bohat hai"
Ibn e Abbas ne Hazrat Muhammad s.a.w.w se riwayat ki "Jis shaks main 3 siftain hongi Allah usse apni panah main le le ga aur apni rehmat se dhanp le ga aur apni mohabbat main dakhil kr ly ga. Daryaft kiya gya k Ay Allah k Rasool wo siftain kya hain Ap ne farmaya "Agr usse diya jaye tu shukr adaa karta hai aur jab kisi shaks par qaboo paa ly tu usse maaf kar deta hai aur jab gussa ata hai tu usse pee jata hai"
Rasool e Khuda s.a.w.w ne farmaya Makaram e Ikhlaq main 10 cheezain hain 1. Allah ka sahi maaino main khoof 2. Zuban ki sachai 3. Amanaton ki adaigi 4. Sulah Rehmi 5. Mehman Nawazi 6.Saail ko khana khilana 7. Ehsaan ka badla chukana 8. Hamsaye ki takleef ko dor karna 9. Apne sathi ki takleef dor karna 10. Aur sab se balatar Haya hai.
Farmaan Imam Jaffar Sadiq a.s
Imam Jaffar Sadiq a.s ne farmaya "Jo sahi maaino main Allah ko yaad karta hai wo uski itayat karne wala hota hai aur jo us se ghafil hota hai wo na farmani karne wala hota hai. Itayat hidayat ki alamat hai jab k na farmani gumrahi ki nishani hai. In dono ki bunyaad Yaad aur Ghaflat hai"
Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya "Jab momin quran ki tilawat karta hai tu Allah us k liye rehmat k darwazy khol deta hai aur us ki zuban se nikly howy har harf se aik farishta paida karta hai jo qayamat tak us k liye tasbi karta rahy ga kyu k hasool e ilm k bad Allah k nazdeek Tilawat E Quran se ziada koi aur cheez mehboon nahi hai"
Social Plugin