Hazrat Ali a.s ki Nigah main Dunya

Hazrat Ali a.s ki nigah main dunya

Yeh aik Musalma Haqeeqat hai k Hazrat Ali a.s dunya aur Omoor e Dunya se had darja bizaar thy. Hazrat Ali a.s ne Dunya se muhatib ho kar barha kaha hai k "Ay Dunya Ja Mere Elawa Kisi Aur Ko Dhokha De Main Ne Tujhy Talaak Baen De Di Hai" Jis k bad rajoo karne ka sawal hi nahi uthta. Ibn e Talha likhte hain k Aik Din Hazrat Ali a.s Jabar Ibne Abdullah Ansari ko lambi lambi sans lety dekha tu pucha Ay Jabar kya yeh tmhari thandi thandi dunya k liye hai. Arz ki Mola hai tu aisa hi Ap ne farmaya Jabar Suno! Insan ki zindagi ka daar o madaar in 7 cheezon par hai aur yehi 7 cheezain wo hain jin par lizzaton ka khatma hai jin k tafseer yeh hai.

 1.  Khany wali cheezain

 2. Peenay wali cheezain

 3. Pehanny wali cheezain

 4. Lazzat e Nikkah wali cheezain

 5. Sawari wali cheezain

 6. Sooghny wali cheezain

 7. Sunne wali cheezain

hazrat-ali-ki-nigah-main-dunya
Hazrat Ali ki nigah main dunya


Ay Jabar ab in ki haqeeqaton par gor karo. Khany main behtareen cheez Syhad hai yeh Makhi ka Loaab e Dahan hai. aur Bahtareen Peenay ki cheez pani hai yeh Zameen par mara mara phirta hai. Bahtareen pehanny ki cheez Dibaaj hai yeh kapry ka la'aab hai aur mankohaat aurat hai jis ki had yeh hai k peshab ka mokam peshab k mokam main hota hai. Dunya is ki us cheez ko achi nigah se dekhti hai wo wohi hai jo us k jism main sab se gandi hai. Aur behtareen sawari ki cheez Ghora hai jo Qatal o Qataal ka markaz hai aur Behatreen soghny ki cheez Mashak hai jo aik janwar k naaf ka sokha howa khoon hai. Behtareen sunne ki cheez Gana hai jo intihaai gunah hai. Ay Jabar aisi cheezon k liye Aaqal kyu thandi sans ly. Jabar kehte hain k is irshad k bad se main ne kabhi dunya ka khayal tak nahi kiya.