Hazrat Ali a.s k Jangi Karnamy
Ulma ka itfaaq hai k Ilm o Shujait jama nahi ho skte. Lekin Hazrat Ali a.s ki zaat ne isse waziya kar diya k Maidan e Ilm aur Maidan e Jang dono par qaboo hasil kiya ja skta hai. Ba shartiya insan main wahi salahitain hon jo qudrat ki taraf se Hazrat Ali a.s main wadiyat ki gayi thi. 2 hijri se le kar ahad wafaat Paighamber Islam tak nazar dali jaye tu Hazrat Ali a.s k jangi karnamy oraaq e tareekh par roshan nazar ayein gy. Jang e Ohad ho ya Jang e Badar, Jang Khandak ho ya Jang e Khyber, Jang e Honain ho ya koi aur marka, har manzil main, har mouka par Ali a.s ki talwar chamakti hoi dikhayi deti hai. Tareekh shahid hai k Ali a.s k mouqably main koi bahadur tika hi nahi. Apki talwaar ne Marhab o Antar, Haris o Umaro Bin Abdo jese bahaduron ko dam e zadin main fana k ghaat utaar dia. Bawar karna chahiye k Ali a.s k moqablay jis tarah insan nahi kar skty thy issi tarah ap se jinhon ne jang ki sabhi k bas ma na thi.
Hazrat Ali a.s k Islam par Ehsanaat:
Islam par Hazrat Ali a.s k ehsanaat ki fehrist itni mukhtasir nahi hai k ham isse is mukhtasir majmoay khalaat main likh sakain.
![]() |
Hazrat Ali a.s ki jang |
1. Dawat e Zul Ashira k mouka par jis jagah Rasool Khuda s.a.w.w ko taqreer karne ka mouqa nahi mil raha tha. Hazrat Ali a.s ne aisi jurrat o himmat ka muzahra kiya k Paighamber e Islam s.a.w.w kamyaab ho gaye aur apne ka Danka baja diya.
2. Shab e Hijrat Farsh e Rasool par soo kar islam ki qismar bidaar kar di aur jan jokham ma dal kar gaar main 3 youm khana pohanchaya.
3. Jang e Badar main jab k musalman sirf 313 aur kufaar beshumaar thy. Apne Kamal Jurrat o Himmat se kamyabi hasil ki.
4. Jang e Ohad main jab k Musalman Sarwar e Alam s.a.w.w ko Maidan e Jang main chor kar bhag gaye thy iss waqt Hazrat Ali a.s hi ne Rasool Khuda s.a.w.w ki jan bachayi aur Islam ki izzat mehfooz kar li.
5. Kafaar jin k dilon main intikaam ki aag barak rahi thi. Umaro Bin Abdoo jese Bahadur ko maidan main le kar aa pohanchy aur Islam ko challenge kar dia. Paigham e Islam s.a.w.w Pareshan thy aur Musalmaano ko bar bar ubaar rhy thy k moqably k liye niklain lekin Hazrat Ali a.s k elawa kisi ne himmat na ki. Bil'Akhir Rasool Khuda s.a.w.w ko kehna para k Ajj Ali a.s ki zarbat ibadat e saqlain se behter hai.
6. Issi tarah khyber main kamyabi hasil kar k ap ne Islam par ehsaan farmaya.
7. Mere khayal k mutabiq Hazrat Ali a.s ka Islam par sab se bara ehsaan yeh tha k Wafaat e Rasool s.a.w.w k bad Rooh Farsa Waqiyaat aur Jaan lewa Halaat k bawajood apne talwaar nahi uthayi warna Islam Manzil e Awal par hi Khatam hojata.
Social Plugin