Hazrat Ali a.s ki Shadi kab hoi? Hazrat Ali a.s ki Shadi kis se hoi?
Hazrat Ali a.s ki shadi 2 hijri main Hazrat Muhammad s.a.w.w ki dukhtar naik akhtar Hazrat Fatima Zahra s.a se hoi. Ap k ghar main loondi, ghulam aur khidmatguzaar na thy. Bahir ka kaam ap khud aur apki walida karti thi aur Amoor e Khanadari k faraiz Janab Fatima Zahra s.a anjaam deti thi. Ho skta hai k yeh rishta aam rishton ki hesiyat se dekha jaye lekin dar haqeeqat main aik qodarti raaz muzamar hai aur is ka inkishaaf is tarah ho skta hai k iss par gor kiya jaye k Hazrat Muhammad s.a.w.w ka irshad hai k "Ali a.s k ilawa Fatima s.a ka sari dunya main rehti dunya tak kafoo nahi ho skta".
Phr Hazrat Muhammad s.a.w.w farmate hain Mujhe Khuda ne hukam dia hai k Main Fatima s.a ki shadi Ali a.s se karon Aur issi silsila main irshad farmate hain k Har Nabi ki nasl us k Salb main hoti hai magr meri nasl Salb Ali a.s main qaraar di gai hai.
Hazrat Ali a.s ka nikkah kisne parhaya
In tamam aqwaal ko milany k bad yeh natija bar'amad hota hai k Ali a.s aur Fatima s.a ka rishta Nasl e Nabowat ki baqaa aur dowaam k liye qaim kiya gaya. Yehi wajah hai k wo log paigham rishta de kar kamyaab mahi ho saky jin ki bunyaad najasat kufr par astawaar hoi aur jin ki intiha gandgi nafaaq par hoi.
Hazrat Ali a.s ki Maa ki wafaat:
Hazrat Ali a.s ki walida majida Janab Fatima Bint e Asad ne 1 hijri basat main izhar e Islam kiya. Ap 1 hijri main Sharf e Hijrat main Musharaf hoi. 2 hijri main ap ne apne noor e nazar ko Rasool s.a.w.w ki lakht e jigar se biyaah dia aur 4 hijri main intikaal farma gai. Apki wafaat se Hazrat Ali a.s behad mutasir howy aur ap se ziada Rasool s.a.w.w ko ranj howa. Rasool Kareem s.a.w.w Hazrat Ali a.s ki walida ko apni walida farmaty thy aur aksar un k wahan ja kar rehty thy. Intikal k bad ap ne qabar khodne main khud hissa lia. Apni chadar aur apne kurty ko shareek e kafan kiya aur qabar main lait kar uski koshaadgi ka andaza kiya.
Hazrat Ali a.s k walid ka intikal:
Hazrat Ali a.s k walid majid Abul Emaan Hazrat Abu Talib 535 Eeswi main Bamukaam Makkah paida howe. Aur wahin palay bhary. Apki bunyaad deen e fitrat par thi. Ap ne Hazrat Ali a.s ko hidayat ki k Rasool Pak s.a.w.w ka sath na chorna. Ap hi ki hidayat se Hazrat Jaffar Tiyaar ne Hazrat Muhammad s.a.w.w k pichy namaz parhni shuro ki thi. Abdul Mutlib k intikaal k waqt 578 Eeswi main jab Rasool Pak s.aw.w ki umar 8 sal ki thi ap ne unki parwarish ki zimadari apne zimmay le li. Aur 45 sal ki umar tak maho khidmat rahy. Issi umar main galban 594 eeswi main apne Rasool Kareem s.a.w.w ki shadi Janab e Khadija k sath kardi aur khutba e nikkah khud parha. Hazrat Abu Talib ka intikal 15 shawal 10 basat ba'umar 80 sal howa. Ap k intikal se Hazrat Ali a.s ko be intiha ranj howa aur Rasool Allah s.a.w.w b behad mutasir howy. Ap ne intihai tasar ki wajah se is saal ka naam Aam ul Huzan rakha. Abu Talib ko islami asool par dafan kiya gaya.
![]() |
Hazrat Ali a.s ka Nikkah |
Social Plugin