Allah ka Zikr karna kesa hai - Farmaan Hazrat Muhammad s.a.w.w

Allah ka Zikr Karna Kesa Hai - Hazrat Muhammad s.a.w.w k Farmaan

Rasool Allah s.a.w.w ne farmaya "Jo shaks Allah ka zikar karta hai Allah us se mohabbat karta hai"
Imam Ali a.s ne Farmaya "Zikr e Elahi Allah k Uns o Mohabbat ki Chabi hai"

Imam Ali a.s ne Farmaya "Jab to yeh dekhy k Allah tujhy apne zikr se manoos kiye howy hai to samaj le k wo tujh se mohabbat karta hai aur jab dekhy k wo tujhy apni mehlook k sath manoos kiye howy hai tu samj ly k tujy dushman bana chuka hai"

Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya "Jo shaks kasrat se Zikr e Elahi karta hai Allah usse apne Mehboob bana leta hai
farmaan-hazrat-muhammad
Farman Hazrat Muhammad s.a.w.w



Imam Jaffar Sadiq a.s ne farmaya "Hazrat Muhammad s.a.w.w ne apne ashaab se farmaya Batao k Emaan ka konsa pehlu sab se ziada mazboot hai? Sahaba ne arz kiya. Allah aur Allah ka Rasool behter janty hain. Kisi ne kaha Namaz kisi ne kaha Zakat. Lekin khud Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya k tum ne jo btaya us ki fazilat apne mokaam par hai lekin jo main ne pocha hai uska jawab tum ne nahi dia. Suno! Emaan ka mazboot tareen pehlu Allah ki rah main mohabbat, Allah ki raah main dushmani, Allah ki oliya se dosti, Allah k dushmano se bizari

Allah ne Hazrat Daud a.s par wahi ki. Bani Israel k jawano se keh dijiye k mujy chor kar kyun dosron se dil laga beithy ho jab k main tmhara mashtaq hoon. Yeh kesi Jafa hai? Agr mujh se roogardani karne walon ko yeh maloom ho jata k mujy unka kitna intizar hai aur main in par kitna mehrban hoon aur masiyat chorne ko kitna dost rakhta hoon to wo mere shok main jan de dety aur meri mohabbat main in k jor jor toot jaty yeh jrada to mera roogardani karne walon k liye hai inki toh baat hi dosri hai jo meri taraf barhty hain. Ay Daud a.s! meri zameen par basny walon ko bata do k jo mujh se mohabbat karta hai main us se mohabbat karta hoon.

Allah ne Hazrat Daud a.s se farmaya "Mujh se mohabbat kro aur mujhy meri makhlook main mehboob banao. Hazrat Daud a.s ne arz ki Ay Mere Rab! lekin teri mahlook k darmiyaan tujy kese mehboob banaon? Allah ne farmaya: Un k samne meri naimaton ka zikr kro, jab tum un k samny meri nematon ka zikr kro gy tu wo mujh se mohabbat karein gy.