Dua Imam Jaffar Sadiq a.s - Farmaan Hazrat Muhammad s.a.w.w

Dua Imam Jaffar Sadiq a.s - Hazrat Muhammad s.a.w.w k Farmaan

Dua E Imam Jaffar Sadiq a.s

Dua e Imam Jaffar Sadiq a.s - Ya Allah toh wo Khuda hai k tery siwa koi mabood nahi. Jis ne tujh se mohabbat ki wo kamyaab howa. Jis ne tujh se munajaat ki wo naik bakht hogya. Jis ne tujh ko pukara wo ghalib howa. Jis ne tujh se umeed ki wo kamyaab howa. Jis ne tera qasad kiya us ne nafah uthaya. Jis ne tujh se tajarat ki us ne faida uthaya.
Al- Quran

Ham tu Allah k rang main rang gye aur Allah k rang se kis ka rang behter hoga. Surah Baqra

Jo log amaandaar hain wo tu sab se barh kar Khuda se mohabbat rakhte hain. Surah Baqra

Sahibaan E Emaan tu Parwardigaar se shadeed mohabbat rakhte hain. Surah Moaida

Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya "Pury dil se Allah ki mohabbat ikhtiyar kro"

Hazrat Daud a.s ki taraf Wahi ki gayi. Ay Daud a.s! Mera zikr, zikr karne walon k sath hai. Meri Jannat Atayat karne walon k sath hai. Meri Mohabbat shok rakhne walon k sath hai aur Main mohabbat karne walon k  liye makhsoos hoon. Allah ne Torait main farmaya "Ay Adam k Bety Main tujh se mohabbat krta hon tu bhi mujh se mohabbat kar"

Ay Adam k bety: Har shaks tujy apny liye chahta hai lekin main tmhain faida k liye chahta hoon lahaza mujh se faraar na ho"
Hazrat Ali a.s ne farmaya "Kisi bandy ka emaan us waqt tak kamil nahi hota jab tak wo us cheez se mohabbat na kary jis se Khuda mohabbat karta hai aur us cheez se bughz na rakhy jis ko Allah pasand nahi farmata"
Hazrat Muhammad s.a.w.w ne farmaya "Allah k nazdeek nojawan tooba karne wale se barh kar koi mehboob nahi aur us bury shaks se barh kar Allah k nazdeek koi dushman nahi jo gunahon par israar krta hai.
dua-imam-jaffar-sadiq
Dua Imam Jaffar Sadiq a.s