Hazrat Ali a.s ki Wiladat
Hazrat Ali a.s ki noori tehleeq, khilqat e sarwar e kainat k sath sath paidiash ilm o Adam a.s se boht pehle ho chuki thi. Lekin insani shakal o sorat main apka zahoor o namood 13 Rajab 30 Aam ul Feel Youm e Jumma Ba Mukaam Khana Kaaba howa. Apki maa Fatima Bint Asad aur Baap Abu Talib thy. Ap dono se Hashmi thy. Morheen Alam ne ap k khana kaaba main paida hone k mutaliq kabhi koi ehtalaaf zahir na kiya, balky bil itfaaq kehty hain k "Ap se pehle koi na Khana Kaaba main paida howa hai aur na hoga". Iss k bare main Ulma ne tawatar ka dawa b kiya hai.
Tawareh e Islam main waqia wiladat yon biyaan kiya gaya hai k Fatima Bint e Asad ko jab Dard e Zaa ki takleed mehsoos hoi tu ap ba mashwara Rasool e Kareem s.a.w.w khana kaaba k qareeb gayi aur us ka tawaaf karne k bad diwaar se taik laga k khari hogayi aur bargah e khuda ki tarf matwajje ho kr arz krne lagi Khudaya main Momna hon. Tujhe Ibrahim a.s Bani e Kaaba aur is molood ka wasta jo mere pait main hai. Meri mushkil dor kr de. Abhi dua k jumle khatam na ho paye thy k diwaar e kaaba shaq ho gayi aur Fatima Bint Asad Dakhil E Kaaba hogayi. Aur diwaar joon ki too hogayi.
![]() |
Hazrat Ali ki wiladat kab hoi |
Hazrat Ali a.s ki Wiladat Kaaba ma hoi
Hazrat Ali a.s ki wiladat Kaaba k andar hoi. Ali a.s paida howe lekin unhon ne ankh na kholi. Maa samjhi k bacha be'noor hai magr teesry din Sarwar E Kainaat tasreef laye aur apni aaghosh mubarik main liya tu Hazrat Aliع ne ankhain khol di aur Jamal e Risalat pr pehli nigah dali. Salam kr k tilawat sahif asmani shuro krdi. Bhai ne galay lagaya aur yeh keh kr "Ay Ali a.s jb tm hamare ho tu main b tmhara hon". Foran muh main zuban de di.
Zuban e Risalat se Dahan e Imamat main 12 jashme jari hogaye. aur Ali a.s achi tarah seerab howe. Issi liye is din ko Youm e Tarwiya kehte hain. Kyu k Tarwiya k Maini Seerabi k hain.
Hazrat Ali a.s Khana Kaaba
Al'garz Hazrat Ali a.s Khana Kaaba se 4thy roz bahir laye gaye aur is k dar pr Ali ams k naam ka board nasb kiya gaya. jo Hashaam Ibn Abdul Malik k zamane tak laga rhaa. Ap pak o pakiza, tayyab o tahir paida howy. Ap ne kabhi Bhutparasti nahi ki aur apki Pashani kabhi kabhi Bhut k samne nahi jhuki.
Hazrat Ali a.s Ka Naam Kis Ne Rakha?
Morheen ka biyaan hai k Hazrat Ali a.s ka naam Janab e Abu Talib ne apne Jad e Alaa Jama Qabail Arab "Qasi" k naam par "Zaid" rakha.
Aur Fatima Bint e Asad ne Hazrat Ali a.s ka naam apne baap k naam par "Asad" rakha.
Hazrat Muhammad s.a.w.w ne Hazrat Ali a.s ka naam Khuda k naam par "Ali" rakha. Naam rakhne k Abu Talib aur Bint E Asad ne kaha Hazoor! ham ne Hatif e Ghaibi se yehi naam suna tha.
Hazrat Ali a.s ka naam Haider
Hazrat Ali a.s ka aik mashoor naam Haider bhi hai jo apki maa ka rakha howa hai jis ki tasdeeq iss rijz se hoti jo ap ne Marhab k moqable main parha tha jis ka pehla misra yeh hai "انا الذی سمتنی امی حیدرہ" iss naam k mutaliq rawait main hai k jb Hazrat Ali a.s Jholy main thy. Ek din maa kahin gayi hoyi thi Jholay par aik sanp ja charha. Hazrat Ali a.s ne hath barha kar us k muh ko pakar lia aur us ko cheer penkha. Maa ne wapis aa kar yeh majra dekha tu ap be'sakhta keh uthi. Yeh mera bacha Haider hai.
Hazrat Ali a.s ki Kuniyat aur Alqabaat:
Hazrat Ali a.s ki kuniyat o alqabaat beshumaar hain. Kuniyat main Abul Hassan aur Abu Turab aur Alqabaat main Ameer ul Momineen, Al Murtaza, Asadullah, Yadullah, Nafsullah, Haider e Karaar, Nafs e Rasool aur Saqi e Kosar ziada mashoor hain.
Social Plugin